Saturday, May 22, 1999

Ghazal 13: daanista dil ko vaqf-e-alam kar rahaa hooN maiN




daanista dil ko vaqf-e-alam kar rahaa hooN maiN
is tarha jashn-e-mausam-e-Gham kar rahaa hooN maiN

phir 'eitbaar-e-'ahd-e-sanam kar rahaa hooN maiN
yooN aap hee pe jaur-o-sitam kar rahaa hooN maiN

sau baar aazmaate chale jaa rahe haiN voh
sau baar un ka shukr-e-karam kar rahaa hooN maiN

seekhe zamaana meri kahaani se kuchch sabaq!
roodaad-e-zindagee ko raqam kar rahaa hooN maiN

"apne Khuloos par hai mujhe poora 'eitmaad" (1)
ab tark-e-rasm-e- dair-o-haram kar rahaa hooN maiN

manzil agar hai door to ho, is ka kyaa gila?
har sang-e-rah pe tez qadam kar rahaa hooN maiN

bas ho chuki hai kashmakash-e-zeest, ai rafeeq!
ab intizaar-e-baaGh-e-iram kar rahaa hooN maiN

rahtee hai raat bhar miri Khud hee se guftgoo
aise sukoot-e-shab ko bhi kam kar rahaa hooN maiN

be.vajh to naheeN haiN yeh, 'naadaaN,' udaasiyaaN
kuchch to sabab hai, aaNkh jo nam kar rahaa hooN maiN


(MAY 22, 1999 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

Coming soon

Coming soon