Wednesday, July 07, 1999

Ghazal 16: mahabbat ki kaisi 'ajab daastaaN hai




mahabbat ki kaisi 'ajab daastaaN hai
sukooN kee hai soorat na koi amaaN hai

shab-o-roz faryaad-o-aah-o-fuGhaaN hai
k. goyaa 'azeeyat yeh 'umr-e-ravaaN hai

kabhi fikr-e-duniyaa, kabhi fikr-e-'uqbaa
isi kashmakash meiN to saara jahaaN hai

hai do din ki yeh zindagaani rafeeqo,
kise phir KHabar hai k. jaana kahaaN hai?

tilism-e- Gham-e-aarzoo ko to toRo
naheeN sood is meiN, ziyaaN hi ziyaaN hai

Khud apni hi taqdeer par rone vaalo -
'abas hai shikaayat, gilaa raayegaaN hai

zaraa Ghaur kar apne 'aamaal par ab
bohot saKht aage tira imtihaaN hai

use yaad kar le, use dil meiN dhar le
vohi ek sarkaar-e- kon-o-makaaN hai

haqeeqat to khul hi gayee tujh pe aaKhir
k. 'naadaaN', yeh duniyaa to vehm-o-gumaaN hai

(JULY 07, 1999 - WICHITA, KS - USA)

Coming soon

Coming soon