Wednesday, November 18, 1998

Ghazal 12: fardaa ki fikr hai, na mujhe dard haal kaa




fardaa ki fikr hai, na mujhe dard haal kaa
"'aalam ab aur hai miri bazm-e-Khayaal kaa" (1)

Gham.haa-e-zindagee ki shikaayat ho kyoN mujhe?
'aadee jo ho gayaa hooN maiN ranj-o-malaal kaa!

naa.vaaqif-e-rumooz-e-haqeeqat naheeN hooN maiN
har jalva aa'eena hai usee ke jalaal kaa!

kho kar havaas-o-hosh Khumaar-e-Khudee meiN ab
deedaar kar rahaa hooN maiN har soo jamaal kaa

jab se huaa hooN mehram-e-asraar-e-zindagee
kuchch fikr-e-ibtidaa hai, na Dar hai ma'aal kaa

yaa rab, fasaana hijr kaa kis se bayaaN karooN?
ab hauslaa naheeN hai mujhe qeel-o-qaal kaa

tark-e-rusoom-e-dehr se itnaa huaa naseeb
pursaaN naheeN hai ab koi 'naadaaN' ke haal kaa!


(NOVEMBER 18, 1998 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

Coming soon

Coming soon


Thursday, April 23, 1998

Ghazal 11: Gham yeh naheeN kih koi meraa humsafar naheeN




Gham yeh naheeN kih koi miraa humsafar naheeN
lekin yeh kyaa k. raah meiN ik bhi shajar naheeN?

qaasid naheeN hai koi, koi naamabar naheeN
muddat hui k. dil ko tiri kuchch Khabar naheeN

hasrat, umeed, ranj, tamanna, malaal, GHam
anjaam-e- kaar-e- 'ishq se maiN be.Khabar naheeN

kal tak to mujhko Khauf thaa rusvaai ka, magar
sad.shukr mujhko aaj koi is kaa Dar naheeN!

ehl-e-KHirad se zikr-e- GHam-e-'ishq kyaa karooN?
"sab baa-hunar haiN, phir bhi koi baa-hunar naheeN" (1)

deevanagi-e-shauq ki Khaana.KharaabiyaaN ....!
bazm-e-jahaaN meiN koi miraa chaaragar naheeN

har shai jahaaN meiN partav-e-husn-o-jamaal hai
hairat hai yeh, ke phir bhi yahaaN deedavar naheeN!!

zauq-e-talab ho gar to 'ayaaN haiN rumooz-e-dehr
afsos, is jahaaN meiN koi haq.nigar naheeN!

dil mutma'in hai apni 'aqeedat meiN, ai rafeeq !
kehtaa hai kaun yooN ke du'aa meiN asar naheeN?

DhooNDega kab talak tu bhalaa manzil-e-hayaat?
naadaaN, yeh zeest kuchch bhi ba-juz ik safar naheeN

(APRIL 23, 1998 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

Coming soon

Coming soon