Sunday, October 20, 1996

Ghazal 9: koi mehram naheeN hotaa jahaan-e- raaz-e-ulfat kaa




koi mehram naheeN hotaa jahaan-e- raaz-e-ulfat kaa
haqeeqat kyaa hai, kis ko hai pataa kuchch bhi haqeeqat kaa?

Kharaash-e-dil, kasak, ranjish, malaal-o-Gham ki afzaaish
yehi 'unvaaN banaa afsaana`e-kaar-e-muhabbat kaa!

shikaayat kar bhi letaa shoomi-e-taqdeer kee shaayad,
magar kyaa keejiye? dil bhee to 'aadi hai museebat kaa

samajh meiN kuchch naheeN aata kahaaN hooN aur kyaa hooN maiN
Khudaaraa koi batlaaye madaavaa meri vehshat kaa!

yehi hai zindagee to maut aaKhir kis ko kehte haiN?
hai koi sabr kee soorat, na hee imkaan raahat kaa

barahman, shaiKh, naaseh -- sab ke sab haiN rahzan-e-'eemaaN!
fareb-e-rahbari dete haiN le kar naam jannat kaa

mazaar-e- hasrat-e-naakaam par rone se kyaa haasil?
yehi hai zindagee 'naadaaN,' gila kyoN apni qismat kaa?

(OCTOBER 20, 1996 - WICHITA, KS - USA)

Coming soon

Coming soon