Sunday, May 05, 1996

Ghazal 7: tamaashaa-e- 'ilm-o-hunar dekhtaa hooN




tamaashaa-e- 'ilm-o-hunar dekhtaa hooN
'ajab raah-o-rasm -e- bashar dekhtaa hooN

zamaane ko zer-o-zabar dekhtaa hooN
judaa har bashar se bashar dekhtaa hooN

rah-e-zindagi meiN na saathi, na humdum
faqat ek tanha safar dekhtaa hooN

"kabhi ranj-e-duniyaa, kabhi fikr-e-daaman" (1)
muqaddar meiN bas chashm-e-tar dekhtaa hooN

Gham-e-aarzoo se rihaai ki hasrat
yehi aarzoo 'umr bhar dekhtaa hooN

quyood-e-hayaat -o- quyood-e-mohabbat
maiN apne ko be baal-o-par dekhtaa hooN

bhalaa kaun hai vaaqif-e- raaz-e-ulfat?
sabhi ko yahaaN beKHabar dekhtaa hooN

hai pesh-e-nazar chaar.soo husn-e-vehdat
use dekhtaa hooN jidhar dekhtaa hooN!

mujhe jalva`e-toor kee kyaa zaroorat?
k. har samt raqs-e-sharar dekhtaa hooN

vaheeN hoga meraa nishaan-e-jabeeN bhi
jahaaN par tiraa sang-e-dar dekhtaa hooN

jo hai beniyaaz-e-GHam-e-kufr-o-'eemaaN
use vaaqif-e-KHair-o-shar dekhtaa hooN

tujhe be.sabab fikr-e-duniyaa hai 'naadaaN'
yahaaN imtihaan-e-bashar dekhtaa hooN

(MAY 05, 1996 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri

Coming soon

Coming soon