Tuesday, March 14, 1995

Ghazal 4: 'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa




'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa
haasil-e-Gham ke sivaa kuchch bhi mujhe haasil na thaa

kashti-e-ummeed ko yooN Doob jaana thaa zaroor
chaar.soo hadd-e-nazar tak koi bhi saahil na thaa

dard kaa ehsaas kartaa bhi koi to kis tarah?
jab k. ashkoN meiN mire Khoon-e-jigar shaamil na thaa

Khud mire dil ki tapish ne raakh kar Daala mujhe
"jis ke sar ilzaam aaya, voh miraa qaatil na thaa" (1)

ek ummeed-e-rafaaqat, ik tamanna-e-vafaa
haif, in KhwaaboN ka lekin koi mustaqbil na thaa

chashm-e-nam, soz-e-jigar, dard-e-junooN, daaGh-e-firaaq
itne Gham rehte kahaaN, seene meiN gar ik dil na thaa?

lamha lamha jee rahaa thaa maiN usee kee yaad meiN
voh magar, sad haif! is ulfat ka hee qaa'il na thaa

sabr gar kartaa hooN Gham meiN to 'ajab kyaa is meiN hai?
yooN bhi koi chaara`e- dard-e- dil-e-bismil na thaa

Khoogar-e- aalaam-e-duniya ho gayaa maiN is qadar
'mushkileN mujh par paReeN itni k. kuchch mushkil na thaa' (2)

dard ki yoorish meiN dekho dil kaa 'aalam kyaa huaa
jis ko dil kehte the pehle, ab voh 'naadaaN' dil na thaa

(MARCH 14, 1995 - WICHITA, KS - USA)


(1) "Qateel" Shifaai
(2) "mushkileN mujh par paReeN itni k. aasaaN ho gayeeN" -- Asadullah Khan "Ghalib"

Coming soon

Coming soon