Friday, August 11, 1995

Ghazal 6: maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?




maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?
ai hijr-e-yaar, tu hi bataa, teraa kyaa karooN?

yaa rab, tu be.Khabar to naheeN mere haal se
izhaar apne dil ki tamanna ka kyaa karooN?

"ik chashm-e-iltifaat ne insaaN banaa diyaa" (1)
ab qarz is karam ka maiN kaise adaa karooN?

ai yaad-e-raftagaaN, tu kabhi lauT kar na aa
ab hauslaa naheeN k. tiraa saamnaa karooN

raah-e-talab meiN goyaa qayaamat hai har qadam,
maiN is safar meiN kis ko bhalaa rahnumaa karooN?

kaun ab sunegaa shikva-e-duniyaa ki sarguzasht?
Gham haaye dil ke dard kaa kis se gilaa karooN?

majboori-e-hayaat kaa 'aalam na poochiye
Khalvat.kade meiN dehr ke kab tak jiyaa karooN?

naadaaN, sivaa-e-marg naheeN chaara-e-alam
phir 'umr-e-jaavidaaN ki maiN kyoN-kar du'aa karooN?

(AUGUST 11, 1995 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri


Coming soon

Coming soon