Friday, August 11, 1995

Ghazal 6: maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?




maatam karooN k. sabr karooN yaa gilaa karooN?
ai hijr-e-yaar, tu hi bataa, teraa kyaa karooN?

yaa rab, tu be.Khabar to naheeN mere haal se
izhaar apne dil ki tamanna ka kyaa karooN?

"ik chashm-e-iltifaat ne insaaN banaa diyaa" (1)
ab qarz is karam ka maiN kaise adaa karooN?

ai yaad-e-raftagaaN, tu kabhi lauT kar na aa
ab hauslaa naheeN k. tiraa saamnaa karooN

raah-e-talab meiN goyaa qayaamat hai har qadam,
maiN is safar meiN kis ko bhalaa rahnumaa karooN?

kaun ab sunegaa shikva-e-duniyaa ki sarguzasht?
Gham haaye dil ke dard kaa kis se gilaa karooN?

majboori-e-hayaat kaa 'aalam na poochiye
Khalvat.kade meiN dehr ke kab tak jiyaa karooN?

naadaaN, sivaa-e-marg naheeN chaara-e-alam
phir 'umr-e-jaavidaaN ki maiN kyoN-kar du'aa karooN?

(AUGUST 11, 1995 - WICHITA, KS - USA)

(1) "Raaz" Chaandpuri


Coming soon

Coming soon


Sunday, April 30, 1995

Ghazal 5: 'ilaaj-e- GHam-e-laa davaa chaahtaa hooN




'ilaaj-e- Gham-e-laa davaa chaahtaa hooN
maiN marham nayaa zaKhm kaa chaahtaa hooN

zamaane se 'ahd-e-vafaa chaahtaa hooN
vafaa kar rahaa hooN, vafaa chaahtaa hooN

maiN ik bevafaa se vafaa chaahtaa hooN
"meri saadgi dekh, kyaa chaahtaa hooN" (1)

baRhaa jaata hai dard-e-dil is qadar ab
k. Khud hi se maiN faaslaa chaahtaa hooN

yeh maana sabhi dost haiN anjuman meiN,
magar koi dard.aashnaa chaahtaa hooN

nadaamat mujhe kyoN ho apne kiye par?
gunahgaar hooN to sazaa chaahtaa hooN!

yeh anjaam-e-ulfat, yeh naakaam hasrat
mujhe kyaa milaa hai ? maiN kyaa chaahtaa hooN!

muhabbat meiN go Khoon-e-dil hai musallam
maiN kyoN jaane raah-e-fanaa chaahtaa hooN

zamaana hai naaraaz kyoN mujhse 'naadaaN?'
zamaane ka maiN kab buraa chaahtaa hooN?

(APRIL 30, 1995 - WICHITA, KS - USA)


(1) Allama "Iqbal"

Coming soon

Coming soon


Tuesday, March 14, 1995

Ghazal 4: 'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa




'aalam-e-imkaaN meiN yaa rab, maiN kisi qaabil na thaa
haasil-e-Gham ke sivaa kuchch bhi mujhe haasil na thaa

kashti-e-ummeed ko yooN Doob jaana thaa zaroor
chaar.soo hadd-e-nazar tak koi bhi saahil na thaa

dard kaa ehsaas kartaa bhi koi to kis tarah?
jab k. ashkoN meiN mire Khoon-e-jigar shaamil na thaa

Khud mire dil ki tapish ne raakh kar Daala mujhe
"jis ke sar ilzaam aaya, voh miraa qaatil na thaa" (1)

ek ummeed-e-rafaaqat, ik tamanna-e-vafaa
haif, in KhwaaboN ka lekin koi mustaqbil na thaa

chashm-e-nam, soz-e-jigar, dard-e-junooN, daaGh-e-firaaq
itne Gham rehte kahaaN, seene meiN gar ik dil na thaa?

lamha lamha jee rahaa thaa maiN usee kee yaad meiN
voh magar, sad haif! is ulfat ka hee qaa'il na thaa

sabr gar kartaa hooN Gham meiN to 'ajab kyaa is meiN hai?
yooN bhi koi chaara`e- dard-e- dil-e-bismil na thaa

Khoogar-e- aalaam-e-duniya ho gayaa maiN is qadar
'mushkileN mujh par paReeN itni k. kuchch mushkil na thaa' (2)

dard ki yoorish meiN dekho dil kaa 'aalam kyaa huaa
jis ko dil kehte the pehle, ab voh 'naadaaN' dil na thaa

(MARCH 14, 1995 - WICHITA, KS - USA)


(1) "Qateel" Shifaai
(2) "mushkileN mujh par paReeN itni k. aasaaN ho gayeeN" -- Asadullah Khan "Ghalib"

Coming soon

Coming soon