Friday, February 04, 1994

Ghazal 3: qaafila dard kaa har samt ravaaN hai yaaro




qaafila dard kaa har samt ravaaN hai yaaro
jaa.ba.jaa dil ki tapish kaa yeh dhuaaN hai yaaro

kyaa bataayeN k. yahaaN kaisa samaaN hai yaaro?
aaj seene meiN har ik zaKhm javaaN hai yaaro

har nafas aah-e-pareshaaN hai, har nazar faryaad
kaar-e-ulfat meiN sukooN hai to kahaaN hai yaaro?

baaGh-e-armaaN meiN 'ajab gardish-e-mausam dekho
yaa chale sard havaa, yaa to KhizaaN hai yaaro!

kaash gulshan meiN kabhi ab ke baras aaye sabaa
aik muddat se kali ki yeh fuGhaaN hai yaaro

soz-e-Gham, dard-e-jigar, Khoon-e-tamanna har dam
dil pe yeh daur-e-alam kitnaa giraaN hai yaaro!

aik fursat ki ghaRi kee hai justjoo dil ko
kaun batlaaye kahaaN is kaa nishaaN hai yaaro?

chaak-e-dil, laKht-e-jigar chaahe nihaaN hoN ke na hoN
baa'is-e- haal-e-junooN ab to 'ayaaN hai yaaro

apne armaaN ke saraaboN meiN hai 'naadaaN' ab bhi
ab bhi eefaa-e-mohabbat ka gumaaN hai yaaro

(FEBRUARY 05, 1994 - ARLINGTON, TX - USA)

Coming soon

Coming soon